junun-e-shauq ki rahon mein jab apne qadam nikle nigar-e-husn ki zulfon ke sare pech-o-kham nikle ye be-nuri mere ghar ke ujalon ki maaz-allah agar dekhen andhere to andheron ka bhi dam nikle ubhaare jaiye jab tak na ubhre naqsh kaghaz par tarashe jaiye jab tak na patthar se sanam nikle nahin dekha tha jab tak khud ko samjhe the na jaane kya shuur-e-ishq le kar aaina-khane se hum nikle ye hasrat hai saja lun apne honton par hansi mein bhi ghadi bhar ko mere dil se agar ehsas-e-gham nikle faraaz-e-arsh tak kaise pahunchte wo bhala 'shahid' faza-e-tur ki had se na aage jo qadam nikle