bhed paen to rah-e-yar mein gum ho jaen warna kis waste be-kar mein gum ho jaen kya karen arz-e-tamanna ki tujhe dekhte hi lafz pairaya-e-izhaar mein gum ho jaen ye na ho tum bhi kisi bhid mein kho jao kahin ye na ho hum kisi bazar mein gum ho jaen kis tarah tujh se kahen kitna bhala lagta hai tujh ko dekhen tere didar mein gum ho jaen hum tere shauq mein yun khud ko ganwa baithe hain jaise bachche kisi tyauhaar mein gum ho jaen pech itne bhi na do kirmak-e-resham ki tarah dekhna sar hi na dastar mein gum ho jaen aisa aashob-e-zamana hai ki dar lagta hai dil ke mazmun hi na ashaar mein gum ho jaen shahryaron ke bulawe bahut aate hain 'faraaz' ye na ho aap bhi darbar mein gum ho jaen