junun-e-shauq mein aashufta-samanon pe kya guzri

junun-e-shauq mein aashufta-samanon pe kya guzri
khirad-mandon pe kya biti garebanon pe ki guzri

wo jin ke khun se rangin tumhaari bazm-e-ishrat hai
kabhi socha hai un majbur insanon pe kya guzri

mera khun-e-jigar to gulsitan ke kaam aaya hai
bataun kis tarah aakhir bayabanon pe kya guzri

hamare dam se qaem thi bahaar-e-gulshan-o-sahra
hamare baad gulshan aur viranon pe kya guzri

ujalon ke bina jo ek lamha ji na pate the
shab-e-zulmat mein aise sanam-khanon pe kya guzri

hamara azm guzra muskura kar har hawadis se
hamein sahil mila jis waqt tufanon pe kya guzri

bahut masum hain 'nashad' kar ke hum ko diwana
hamin se puchhte hain chaak-damanon pe kya guzri


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close