mere khulus ka jab aap ko khayal nahin mujhe bhi tark-e-talluq ka kuchh malal nahin hain zakhm-e-shauq meri zindagi ka sarmaya hun mutmain ki mujhe fikr-e-indimal nahin hawadisat-e-zamana meri zarurat hain qadam qadam pe mile hain ye khal-khal nahin mile jo khak mein sarsabz ho wahi dana hai paemal wahi jo ki paemal nahin tu khak hai teri azmat hai khaksari mein zawal us ka muqaddar jise zawal nahin har ek gam ujala har ek qadam sae jahan-e-gham mein koi hadisa muhaal nahin nasib hota koi gham to jagti qismat kisi ko us se to 'nashad' qil-o-qal nahin