junun ka mere imtihan ho raha hai sukun aaj bar-e-giran ho raha hai chamakne lage meri nazron mein zarre sitaron ka chehra dhuan ho raha hai gunahon se bojhal jabin ki badaulat tera aastan aastan ho raha hai udhar aasman par chamakti hai bijli mukammal idhar aashiyan ho raha hai na girdab o tufan na wade mukhalif mera hausla raegan ho raha hai tera dard ab main samajhne laga hun mera dard ab be-zaban ho raha hai ye kya kam hai 'hairat' meri kaamyabi ki ab tak mera imtihan ho raha hai