junun kam justuju kam tishnagi kam nazar aae na kyun dariya bhi shabnam ba-hamdillah tu hai jis ka hamdam kahan us qalb mein gunjaish-e-gham tawajjoh be-nihayat aur nazar kam khusha ye iltifat-e-husn-e-barham meri aankhon ne dekha hai wo aalam ki har aalam hai laghzish-ha-e-paiham khata kyunkar na hoti aafiyat-soz ki jannat hi na thi meraj-e-adam khusha ye nisbat-e-husn-o-mohabbat jahan baithe nazar aae hamin hum wo ek husn-e-sarapa allah allah ki jis ki har ada aalam hi aalam kahan pahlu-e-khurshid-e-jahan-tab kahan ek naznin doshiza shabnam masarrat zindagi ka dusra nam masarrat ki tamanna mustaqil gham