kash main bhi kabhi yaron ka kaha man sakun aankh ke jism pe khwabon ki rida tan sakun main samundar hun na tu mera shanawar pyare tu bayaban hai na main khak teri chhan sakun ru-e-dilbar bhi wahi chehra-e-qatil bhi wahi tu kabhi aankh milae to main pahchan sakun waqt ye aur hai mujh mein ye kahan tab ki main yariyan jhel sakun dushmaniyan than sakun jab sitam hai ye taaruf hi to kaisa ho agar main use jaanne walon ki tarah jaan sakun