junun karta hai din-raat paemal mujhe hawa-e-shahr mere dasht se nikal mujhe bana ke bhul gaya naqsh pichhle chehron ka phir ek shakl ka aane laga khayal mujhe badan ke sae ko dil ke qarib dekhta hun ye aaj kis se bichhadne ka hai malal mujhe chala raha hun kirae pe aas ki kashti kabhi to dalne de paniyon mein jal mujhe sar-e-mahaz mayassar hui hai dildari mere ghanim batate hain mera haal mujhe