junun ke bab mein yun khud ko tumhaara kar ke hath malta hun main apna hi khasara kar ke ab mere zehn mein bas lazzat-e-duniya hai rawan thak chuka hun teri ulfat pe guzara kar ke hum abhi sohbat-e-duniya mein hain masruf magar koi shab tum ko bhi dekhenge gawara kar ke hum se khamosh tabiat bhi hain duniya mein ki jo us ko hi chahte hain us se kinara kar ke der tak koi na tha rah batane wala aur phir le gai ek mauj ishaara kar ke