umr-e-rafta mein yun to kya na hua sirf ek tu hai jo mera na hua jaan hum ne nikal kar rakh di phir bhi izhaar-e-muddaa na hua aaj tarhi nishast thi lekin wo na aae muqabla na hua phul jhadte hain lab jo hilte hain galiyan kha ke be-maza na hua muntazir hun main kitni muddat se tera wada kabhi wafa na hua tu hi ai dost ek mera na hua zer-e-aflak warna kya na hua koi pahuncha nahin hai sahil par na-khudai ka phir gila na hua kat di mai-kade mein umr-e-daraaz rind tha 'shad' parsa na hua