junun ke qafilon ki be-nishan manzil ka kya kahna asiran-e-khirad ke haal mein shamil ka kya kahna jamal-e-masti-e-gharqab mein dam-kham to hai lekin kisi chashm-e-fana ki khwahish-e-sahil ka kya kahna darun-e-azdaham-e-marduman gar khud se milna ho to aisi ittifaqi munfarid mahfil ka kya kahna hai gar apna muqaddar kushta-e-tegh-e-jafa hona to phir ek na-gahani panja-e-qatil ka kya kahna tere qasr-e-wafa ki chhat tale zinda to hain ham-dam magar is saeban-e-shauq-e-la-hasil ka kya kahna hamein bhi ishtiyaq-e-inkishaf-e-haq to hai 'asim' magar is makhmase is daimi mushkil ka kya kahna