junun khud-numa khud-nagar bhi nahin khirad ki tarah kam-nazar bhi nahin kisi rahzan ka khatar bhi nahin ki daman mein gard-e-safar bhi nahin gham-e-zindagi ek musalsal azab gham-e-zindagi se mafar bhi nahin nazar mo'tabar hai khabar mo'tabar magar is qadar mo'tabar bhi nahin