samundar pur-sukun hai dil ka tughyani nahin koi hawa pur-shor hai lekin pareshani nahin koi tajjub hai to bas apni wafadari ke jazbe par hamein us ke badal jaane pe hairani nahin koi tasalsul khwab-e-khush-asar ka yun tut jaane par tassuf hai magar ai dil pashimani nahin koi hum apne aap hi ke dar pae aazar rahte hain hamara hum se badh kar dushman-e-jaani nahin koi idhar aane se pahle hi hamein malum tha 'nikhat' ye wo rasta hai jis raste mein aasani nahin koi