junun khud-numa khud-nigar bhi nahin khirad ki tarah kam-nazar bhi nahin koi rahzan ka khatar bhi nahin ki daman mein gard-e-safar bhi nahin yahan hosh-o-iman sabhi lut gae maza ye hai un ki khabar bhi nahin gham-e-zindagi ek musalsal azab gham-e-zindagi se mafar bhi nahin nazar mo'atabar hai khabar mo'atabar magar is qadar mo'atabar bhi nahin teri anjuman markaz-e-arzu teri anjuman mein guzar bhi nahin kahan jaen 'taban' gunahgar-e-shauq saza bhi nahin darguzar bhi nahin