sham-e-gham ki sahar nahin hoti aah bhi kargar nahin hoti jab uthate hain wo naqab-e-rukh mere bas mein nazar nahin hoti mere zakhm-e-jigar ko wahshat mein hajat bakhiya-gar nahin hoti us se ummid-e-rahm kya karte jis ki sidhi nazar nahin hoti kashmakash mein hun main masaib ke zindagani basar nahin hoti aise aalam mein dekhta hun main jab kisi ki nazar nahin hoti ghair ki samt dekhne wale kyun tawajjoh idhar nahin hoti tul khincha hai yun shab-e-gham ne kisi surat sahar nahin hoti dil churaati hai yun nigah-e-naz aur mujh ko khabar nahin hoti dil laga kar sukun ghalat 'sajid' aashiqi chaaragar nahin hoti