junun ki aabiyari kar raha hun main wahshat khud pe tari kar raha hun chhupa kar zakhm apne qahqahon mein ghamon ki parda-dari kar raha hun ye duniya hai bhala kab mera maskan yahan to shab-guzari kar raha hun haqiqat mein ye ek banjar zamin thi main jis par kasht-kari kar raha hun zamin do-gaz nahin hai pas aur main falak par dawe-dari kar raha hun badan khud ho raha hai mera zakhmi main kis par sang-bari kar raha hun inhi amraaz mein khud hun mulawwis main fatwe jin pe jari kar raha hun falak wale to honge hi mukhalif zamin walon se yari kar raha hun kahan tum bhi ibaadat kar rahe ho agar main duniya-dari kar raha hun moattar hai badan khushbu se mera gulon ki aabiyari kar raha hun ye mana khak ka zarra hun 'adil' hawaon par sawari kar raha hun