achchha hai wo bimar jo achchha nahin hota jab tajribe hote hain to dhoka nahin hota jis lafz ko main tod ke khud tut gaya hun kahta bhi to wo us ko gawara nahin hota teri hi tarah aata hai aankhon mein tera khwab sachcha nahin hota kabhi jhuta nahin hota takzib-e-junun ke liye ek shak hi bahut hai barish ka samay ho to sitara nahin hota kya kya dar-o-diwar meri khak mein gum hain par us ko mera jism gawara nahin hota ya dil nahin hota mere hone ke sabab se ya dil ke sabab se mera hona nahin hota kis rukh se tayaqqun ko tabiat mein jagah den aisa nahin hota kabhi waisa nahin hota hum log jo karte hain wo hota hi nahin hai hona jo nazar aata hai hona nahin hota jis din ke guzarte hi yahan raat hui hai ai kash wo din main ne guzara nahin hota jab hum nahin hote yahan aate hain taghayyur jab hum yahan hote hain zamana nahin hota hum un mein hain jin ki koi hasti nahin hoti hum tut bhi jaen to tamasha nahin hota