junun mein der se khud ko pukarta hun main jo gham hai daman-e-sahra mein wo sada hun main badal gaya hai zamana badal gaya hun main ab apni samt bhi hairat se dekhta hun main hayat ek saza hai bhagat raha hun main dar-e-qubul se lauti hui dua hun main jise khud aap hi apne pe pyar aa jae jafa ke daur mein wo laghzish-e-wafa hun main jamal-e-yar ki ranaiyan maaz-allah nigah ban ke nazaron mein kho gaya hun main bas ek jumbish-e-lab tak wajud hai jis ka zaban-e-shauq pe wo harf-e-muddaa hun main agar hai jurm mohabbat to phir takalluf kya madar-e-jurm hun taqsir hun khata hun main rafaqaton ke ye fanus ta-ba-kai 'ejaz' hawa ki zad pe larazta hua diya hun main