juda bhi ho ke wo ek pal kabhi juda na hua ye aur baat ki dekhe use zamana hua na puchh mera pata mauja-e-hawa hun main bhala hawa ka bhi koi kabhi thikana hua har ek samt sahife khule pade the yahan tera nasib ki tu harf-ashna na hua panah milti kise meri kibriyai se khuda ka shukr main banda hua khuda na hua is apni khoj mein kya kya khule na bhed magar main hun bhi ya ki nahin mujh pe aaina na hua nida-e-ghaib thi teri sada thi dhadkan thi mere shuur se itna bhi faisla na hua shajar to rah ka saya hain un ko kya malum kahan se aaya musafir kidhar rawana hua faqir ho ke liya tu ne kya 'bashir' ki jab galim-posh bhi tu ho ke ba-safa na hua