junun mein gum hue hoshyar ho kar hamein nind aa gai bedar ho kar mata-e-asl hathon se ganwa di kharab-e-andak-o-bisyar ho kar hamin ne ki thi saiqal is nazar par hamin par gir padi talwar ho kar jo ghuncha so raha tha shakh-e-gul par pareshan ho gaya bedar ho kar dur-e-maqsud bas ek do qadam tha ki rishta rah gaya diwar ho kar na aae hosh mein diwana koi bahut dukh paega hoshyar ho kar 'saba' mai hai na saqi hai na saghar ye din bhi dekhiye mai-khwar ho kar