kisi se wada-o-paiman bhi nahin mera yahan se lautna aasan bhi nahin mera main lakht lakht hua aasman se ladte hue magar ye khak pe ehsan bhi nahin mera main sirf apni hirasat mein din guzarta hun mere siwa koi zindan bhi nahin mera sukut-e-shab mein teri chashm-e-nim-wa ke siwa koi charagh nigahban bhi nahin mera dhari hui koi ummid bhi nahin mere pas khula hua dar-e-imkan bhi nahin mera ye kis ke bojh ne mujh ko thaka diya ki yahan ba-juz-dua koi saman bhi nahin mera main us ki ruh mein utra hua hun aur 'shahzad' kamal ye hai use dhyan bhi nahin mera