junun mein hum agarche mustaqil khamosh rahte hain khirad ki sazishon se bhi magar ba-hosh rahte hain safar jari hai sadiyon se hamara nabz-e-alam mein nigahon se zamane ki magar ru-posh rahte hain hamare hauslon ko aazmana soch kar zalim qabile mein hamare sab kafan-bar-dosh rahte hain nahin pahchanti jo waqt mit jati hain wo qaumen na un mein hausle baqi na un mein josh rahte hain hamari qaum par tari hai gahri nind kuchh aisi ki jaise khwab mein dube hue khargosh rahte hain gham-e-dauran gham-e-jaanan gham-e-hijran gham-e-yaran ye sare gham hamesha mujh se ham-aghosh rahte hain