karb main dube hue khun-rez manzar rakh diye kis ne meri khushk aankhon mein samundar rakh diye dekh kar shauq-e-shahadat bar-sar-e-maqtal mera qatilon ne hath se ghabra ke khanjar rakh diye tirgi firqa-parasti ki badhi tab zulm ne raushni ke waste jalte hue ghar rakh diye chhod kar sab kuchh chala tha jaanib-e-manzil junun kyon khirad ne rah mein rishton ke patthar rakh diye wo bade masum lafzon mein kiya karta tha baat kis ne us ke ras-bhare lahje mein nashtar rakh diye main ne socha tha mita dun yaad-e-mazi ke nuqush nind ne aankhon mein phir yaadon ke paikar rakh diye laghzishon mein yun to donon the barabar ke sharik us ne sab ilzam lekin mere sar par rakh diye main ne bas itna kaha tha aap kyon naraaz hain us ne mere ru-ba-ru shikwon ke daftar rakh diye mai-kashi ke waste 'bebak' socha tak na tha us ne mere samne aankhon ke saghar rakh diye