junun se barsar-e-paikar hoti ja rahi hai

junun se barsar-e-paikar hoti ja rahi hai
meri diwangi hushiyar hoti ja rahi hai

kabhi mujh mein koi buniyaad-e-gham rakkhi gai thi
wo badh kar ab dar-o-diwar hoti ja rahi hai

chhupa baitha hun main apne hi andar aur bahar
nai duniya koi tayyar hoti ja rahi hai

khayal aane lage hain dil mein jaane kaise kaise
meri tanhai ab bazar hoti ja rahi hai

main khud ko jis qadar aasan karta ja raha hun
ye duniya us qadar dushwar hoti ja rahi hai

bahut din se nahin chira kisi chattan ka dil
salahiyyat meri bekar hoti ja rahi hai

main duniya ki nazar mein mohtaram hone laga hun
meri nazron mein duniya khar hoti ja rahi hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close