na chand ka na sitaron na aaftab ka hai

na chand ka na sitaron na aaftab ka hai
sawal ab to meri jaan tere jawab ka hai

ye kis ne pairahan-e-khwab chaak kar dala
tumhaari aankhon mein ye khauf kisi azab ka hai

dua karo ki na ho qahr-e-izdi nazil
ye waqt apne gunahon ke ehtisab ka hai

kisi ne jaan hi luta di wafaon ki khatir
tumhin batao ki qissa ye kis kitab ka hai

saubat-e-safar-e-zist se nidhaal hun main
kuchh aisa hai ki mera aaina sarab ka hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close