junun se guzarne ko ji chahta hai hansi zabt karne ko ji chahta hai jahan ishq mein dub kar rah gae hain wahin phir ubharne ko ji chahta hai wo hum se khafa hain hum un se khafa hain magar baat karne ko ji chahta hai hai muddat se be-rang naqsh-e-mohabbat koi rang bharne ko ji chahta hai ba-in khud-sari wo ghurur-e-mohabbat unhen sajda karne ko ji chahta hai qaza muzhda-e-zindagi le ke aae kuchh is tarah marne ko ji chahta hai nizam-e-do-alam ki ho khair ya-rab phir ek aah karne ko ji chahta hai gunah-e-mukarrar 'shakil' allah allah bigad kar sanwarne ko ji chahta hai