par utarne ke liye to khair bilkul chahiye bich dariya dubna bhi ho to ek pul chahiye fikr to apni bahut hai bas taghazzul chahiye nala-e-bulbul ko goya khanda-e-gul chahiye shakhsiyat mein apni wo pahli si gahrai nahin phir teri jaanib se thoda sa taghaful chahiye jin ko qudarat hai takhayyul par unhen dikhta nahin jin ki aanhken thik hain un ko takhayyul chahiye roz hamdardi jatane ke liye aate hain log maut ke baad ab hamein jina na bilkul chahiye