junun se khelte hain aagahi se khelte hain yahan to ahl-e-sukhan aadmi se khelte hain nigar-e-mai-kada sab se ziyaada qabil-e-rahm wo tishna-kaam hain jo tishnagi se khelte hain tamam umr ye afsurdagan-e-mahfil-e-gul kali ko chhedte hain be-kali se khelte hain faraaz-e-ishq nasheb-e-jahan se pahle tha kisi se khel chuke hain kisi se khelte hain naha rahi hai dhanak zindagi ke sangam par purane rang nai raushni se khelte hain jo khel jaante hain un ke aur hain andaz bade sukun badi sadgi se khelte hain 'khizan' kabhi to kaho ek is tarah ki ghazal ki jaise rah mein bachche khushi se khelte hain