kuchh to sachchai ke shahkar nazar mein aate kash hum log na khwabon ke asar mein aate hum ne is khauf se khakon ko mukammal na kiya sham ke rang bhi taswir-e-sahar mein aate jab ki har rauzan-e-diwar namak-dan thahra kaise majruh ujale mere ghar mein aate soe-panghat pe jami barf pighal sakti thi pyase suraj to kabhi mere nagar mein aate ajnabiyat ke darichon mein khuli thin aankhen kis ke sae mere khwabon ke khandar mein aate