junun se zikr se hasrat se aur ibaadat se

junun se zikr se hasrat se aur ibaadat se
ab is ke baad tujhe chahenge mohabbat se

wo shai bhi khak hui jo falak se utri thi
bacha hai kaun yahan par nizam-e-qudrat se

tere ishaare pe lazim nahin tha mar jaana
magar mite hain teri chahaton mein shiddat se

tamam raat guzari hai mah-o-anjum mein
ai subh mujh se zara pesh aa mohabbat se

barasne aaega bin-barse laut jaega
ye abr baz na aaega apni aadat se

is intizar mein gar jaan gai to mumkin hai
mile sawab hamein aajizi ki nisbat se

banane wale ne bas naqsh hi banae the
ye rang nikle hain 'mira' tumhaari hairat se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close