jurat ai dil mai o mina hai wo khud-kaam bhi hai bazm aghyar se khali bhi hai aur sham bhi hai zulf ke niche khat-e-sabz to dekha hi na tha ai lo ek aur naya dam tah-e-dam bhi hai chaaragar jaane de taklif-e-mudawa hai abas maraz-e-ishq se hota kahin aaram bhi hai ho gaya aaj shab-e-hijr mein ye qaul ghalat tha jo mashhur ki aaghaz ko anjam bhi hai kaam-e-jaanan mera lab-e-yar ke bose se siwa khugar-e-chashni-e-lazzat-e-dushnam bhi hai shaikh ji aap hi insaf se farmaen bhala aur aalam mein koi aisa bhi badnam bhi hai zulf o rukh dair o haram sham o sahar 'aish' in mein zulmat-e-kufr bhi hai jalwa-e-islam bhi hai