chhaton pe aag rahi baam-o-dar pe dhup rahi sahar se sham talak bahr-o-bar pe dhup rahi bahut dinon se jo baadal idhar nahin aae darakht sukhe rahe rahguzar pe dhup rahi kuchh aise waqt pe nikle the apne ghar se hum jahan jahan bhi gae apne sar pe dhup rahi ghurub ho gaya suraj magar fazaon mein wahi tapish hai ki jaise nagar pe dhup rahi rawish rawish pe raha aaftab ka saya jahan-e-ghuncha-o-barg-o-samar pe dhup rahi araq araq hai jabin pairahan pasina hai bashar hi jaane ki kaisi bashar pe dhup rahi jahan-e-karb-o-bala hum ko yaad aaya hai kuchh aisi ab ke hamare nagar pe dhup rahi rawan-dawan hamein phirna tha dasht-e-ghurbat mein kabhi jo ghar mein rahe hain to ghar pe dhup rahi usi parinde ki surat hamein bhi jina tha jo din ko udta raha baal-o-par pe dhup rahi tamam din mujhe suraj ke sath chalna tha mere sabab se mere ham-safar pe dhup rahi yahi to soch ke 'iqbaal' ko nadamat hai shajar ke sae mein hum aur shajar pe dhup rahi