jurat-e-ishq hawas-kar hui jati hai be-piye tauba gunahgar hui jati hai dil hai afsurda to be-rang hai har rang-e-bahaar bu-e-gul bhi khalish-e-khar hui jati hai bawajude-ki junun par hain khirad ke pahre phir bhi zanjir ki jhankar hui jati hai har nafas mauj-e-fana tere thapedon ke tufail kashti-e-umr-e-rawan par hui jati hai jo namaz aaj sar-e-dar ada ki main ne sajda-e-shukr ka mear hui jati hai jitni aasaniyan hoti hain faraham din raat zindagi utni hi dushwar hui jati hai jab se dekha hai kisi ke rukh-e-raushan ko 'figar' aankh har jalwe se bezar hui jati hai