apne pahlu mein chhupae hue patthar nikla ye tera shahr bhi tujh sa hi sitamgar nikla thi jo mahfuz mere sath meri khak-e-badan le udi tez hawa ghar se jo bahar nikla sab ki goyai pe hawi thi meri khamoshi kaun mujh sa teri mahfil mein sukhnawar nikla shahr mein phaila hua khauf-e-shanasai tha ghar se har shakhs naya rup badal kar nikla kis taraf jaoge ab pyas bujhane logo dasht-e-be-ab se aage to samundar nikla ban gai panw ki zanjir dar-o-baam ki yaad khud meri rah ki diwar mera ghar nikla ki mohabbat bhi to ek dushman-e-jaan se 'khawar' apna dushman na koi tere barabar nikla