jurat-o-azm chahiye dil mein

jurat-o-azm chahiye dil mein
koi mushkil nahin hai mushkil mein

us safine ka tazkira be-sud
ho chuka hai jo gharq sahil mein

hae us karwan ki pamali
lut gaya jo pahunch ke manzil mein

ye hai shan-e-kamal-e-khuddari
be-niyazi hai un ki mahfil mein

roghan-e-khun-e-arzu se mere
jal raha hai charagh mahfil mein

phunk sakta hai khirman-e-hasti
wo sharara hai tuda-e-gul mein

raushni wo hai aur ye zulmat
farq itna hai haqq-o-baatil mein

munh ki khani padegi ai 'hamdam'
jo bhi aaya tere muqabil mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close