jurm-e-ummid ki saza hi de mere haq mein bhi kuchh suna hi de ishq mein hum nahin ziyaada talab jo tera naz-e-kam-nigahi de tu ne taron se shab ki mang bhari mujh ko ek ashk-e-subh-gahi de tu ne banjar zamin ko phul diye mujh ko ek zakhm-e-dil-kusha hi de bastiyon ko diye hain tu ne charagh dasht-e-dil ko bhi koi rahi de umr bhar ki nawa-gari ka sila ai khuda koi ham-nawa hi de zard-ru hain waraq khayalon ke ai shab-e-hijr kuchh syahi de gar majal-e-sukhan nahin 'nasir' lab-e-khamosh se gawahi de