meri taqdir muafiq na thi tadbir ke sath khul gai aankh nigahban ki bhi zanjir ke sath khul gaya mushaf-e-rukhsar-e-butan-e-maghrib ho gae shaikh bhi hazir nai tafsir ke sath na-tawani meri dekhi to musawwir ne kaha dar hai tum bhi kahin khinch aao na taswir ke sath ho gaya tair-e-dil said-e-nigah-e-be-qasd sai-e-bazu ki yahan shart na thi tir ke sath lahza lahza hai taraqqi pe tera husn-o-jamal jis ko shak ho tujhe dekhe teri taswir ke sath baad sayyad ke main collage ka karun kya darshan ab mohabbat na rahi is but-e-be-pir ke sath main hun kya chiz jo us tarz pe jaun 'akbar' 'nasikh' o 'zauq' bhi jab chal na sake 'mir' ke sath