justuju manzil-e-idrak se wabasta hai

justuju manzil-e-idrak se wabasta hai
khak-e-darwesh abhi chaak se wabasta hai

meri fitrat nahin main ghair ke raste pe chalun
meri nisbat bhi meri nak se wabasta hai

wo jo aai thi mere sain ke qadmon ke tale
meri hasti to isi khak se wabasta hai

tu kabhi ruh se insaf nahin kar sakta
teri darweshi to poshak se wabasta hai

takhta-e-dar pe chadh jaegi sach ki khatir
ye zaban lahja-e-bebak se wabasta hai

hosh walo ko ye hasil nahin hoti hai miyan
ye khushi dida-e-namnak se wabasta hai

hum zamin par nahin chalte kabhi tan kar 'tariq'
dil yahan hai magar aflak se wabasta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close