juz qais aur koi na aaya ba-ru-e-kar sahra magar ba-tangi-e-chashm-e-hasud tha aashuftagi ne naqsh-e-suwaida kiya durust zahir hua ki dagh ka sarmaya dud tha tha khwab mein khayal ko tujh se muamla jab aankh khul gai na ziyan tha na sud tha leta hun maktab-e-gham-e-dil mein sabaq hanuz lekin yahi ki raft gaya aur bud tha dhanpa kafan ne dagh-e-uyub-e-barahnagi main warna har libas mein nang-e-wajud tha teshe baghair mar na saka kohkan 'asad' sargashta-e-khumar-e-rusum-o-quyud tha aalam jahan ba-arz-e-bisat-e-wajud tha jun subh chaak-e-jeb mujhe tar-o-pud tha bazi-khur-e-fareb hai ahl-e-nazar ka zauq hangama garm-e-hairat-e-bud-o-nabud tha aalam tilism-e-shahr-e-khamoshi hai sar-basar ya main gharib-e-kishwar-e-guft-o-shunud tha tangi rafiq-e-rah thi adam ya wajud tha mera safar ba-tala-e-chashm-e-hasud tha tu yak-jahan qamash-e-hawas jama kar ki main hairat-mata-e-alam-e-nuqsan-o-sud tha gardish-muhit-e-zulm raha jis qadar falak main paemal-e-ghamza-e-chashm-e-kabud tha puchha tha garche yar ne ahwal-e-dil magar kis ko dimagh-e-minnat-e-guft-o-shunud tha khur shabnam-ashna na hua warna main 'asad' sar-ta-qadam guzarish-e-zauq-e-sujud tha