juz tere koi bhi din raat na jaane mere tu kahan hai magar ai dost purane mere tu bhi khushbu hai magar mera tajassus bekar barg-e-awara ki manind thikane mere shama ki lau thi ki wo tu tha magar hijr ki raat der tak rota raha koi sirhane mere khalq ki be-khabari hai ki meri ruswai log mujh ko hi sunate hain fasane mere lut ke bhi khush hun ki ashkon se bhara hai daman dekh ghaarat-gar-e-dil ye bhi khazane mere aaj ek aur baras bit gaya us ke baghair jis ke hote hue hote the zamane mere kash tu bhi meri aawaz kahin sunta ho phir pukara hai tujhe dil ki sada ne mere kash tu bhi kabhi aa jae masihai ko log aate hain bahut dil ko dukhane mere kash auron ki tarah main bhi kabhi kah sakta baat sun li hai meri aaj khuda ne mere tu hai kis haal mein ai zud-faramosh mere mujh ko to chhin liya ahd-e-wafa ne mere chaaragar yun to bahut hain magar ai jaan-e-'faraaz' juz tere aur koi zakhm na jaane mere