maktab ki aashiqi bhi tarikh-e-zindagi thi fazil tha ghar se majnun laila padhi likhi thi farhad jaan dega shirin tabah hogi ye to khuda ke ghar se goya kahi badi thi qudrat ke daere mein us waqt but bane the jab neamat-e-takallum taqsim ho chuki thi kabe mein hum ne ja ke kuchh aur haal dekha jab but-kade mein pahunche surat hi dusri thi matam mein mere 'muztar' wo kis ada se aaya aankhon mein kuchh nami thi honton pe kuchh hansi thi