juz tere mere pesh-e-nazar kuchh bhi nahin hai

juz tere mere pesh-e-nazar kuchh bhi nahin hai
tu sath ho phir khauf-o-khatar kuchh bhi nahin hai

ek kashf-e-mohabbat se badal jata hai kya kuchh
ab taron ki gardish ka asar kuchh bhi nahin hai

har roz nae pahlu se samjha karun tujh ko
gum aisi hun ki khud ki khabar kuchh bhi nahin hai

khushbu ki tarah an-kahe ehsas samajh tu
hasrat hai bahut kahna magar kuchh bhi nahin hai

sab kuchh hai tujhi se ai khayaban-e-mohabbat
bin tere ye aalam ye nagar kuchh bhi nahin hai

tu hi gham-e-dauran mein qarib-e-rag-e-jaan hai
manjhi ho jo tujh sa to bhanwar kuchh bhi nahin hai

ek tere hi ehsas se manus hai ye dil
ehsas ka unwan-e-digar kuchh bhi nahin hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close