kaam aaegi teri khoj mein zulmat aisi

kaam aaegi teri khoj mein zulmat aisi
kis ko malum tha ban jaegi surat aisi

be-sabab pad gae hain jaan ke lale ab ke
be-zarurat hi nikal aai zarurat aisi

jaane ho ret ke sahraon ka kaisa aalam
jab hai is gulshan-e-sarsabz mein wahshat aisi

sans leta tha to diwar giri jati thi
raat kuchh khwab mein dekhi thi imarat aisi

dil ke virane mein kyun hashr bapa hai 'rahat'
roz hoti hai zamane mein qayamat aisi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close