na aaya maza shab ki tanhaiyon mein sahar ho gai chand angdaiyon mein na ranginiyon mein na ranaiyon mein nazar ghir gai apni parchhaiyon mein mujhe muskura muskura kar na dekho mere sath tum bhi ho ruswaiyon mein ghazab ho gaya un ki mahfil se aana ghira ja raha hun tamashaiyon mein mohabbat hai ya aaj tark-e-mohabbat zara mil to jaen wo tanhaiyon mein idhar aao tum ko nazar lag na jae chhupa lun tumhein dil ki gahraiyon mein are sunne walo ye naghme nahin hain mere dil ki chikhen hain shahnaiyon mein wo ai 'kaif' jis din se mere hue hain to sara zamana hai shaidaiyon mein