kaam aain talluq ki baisakhiyan chand mathon pe mahtab Tanke gae

kaam aain ta'alluq ki baisakhiyan chand mathon pe mahtab tanke gae
aakhiri saf mein baithe huon ki kaho kab uthaya gaya aur hanke gae

shama-dan-e-ghazal se bhadakti hui balli-maran mein koi haweli nahin
gomti ke kinare andhera hua marsiya sun ke majlis se banke gae

chiq uthai to duniya ke bazar mein khwahishon ki najasat ka ambar tha
hum ne bajta hua har katora suna aur khidki se chup-chap jhanke gae

zard sikkon ka sanduq khulta raha bat chadhte rahe mal tulta raha
chaar jaanib se boli badhai gai sher beche gae lafz aanke gae

shah shanon pe rakkhe hue takht par dewta ki samajat mein masruf tha
bad-duaen ugalte hue bad-zaban aah bharte rahe dhul phanke gae

aakhiri bastiyon ki kahani suno surkh inton ki bhatti bujhai gai
phul reti ke niche dabae gae chah mitti ke tilon se dhanke gae

jaan-kani ki aziyyat mein gham-khwar kya ek marte hue ko azadar kya
kab lahad mein kahin shama rakkhi gai kya kafan mein kabhi phul tanke gae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close