suna hai kichaD ke sukhne par hayat chola badal rahi thi

suna hai kichad ke sukhne par hayat chola badal rahi thi
shajar se niche utar ke khilqat nahif qadmon pe chal rahi thi

wasia raqbe ka be-nihayat khatir malba simat raha tha
zaif tare ki dhonkni se muhib zulmat ubal rahi thi

tawaf karti hawa ka rona mataf mein ghul macha raha tha
haram ke phatak se bain karti koi sawari nikal rahi thi

waba ki aafat ka taziyana siyah pushton pe pad chuka tha
nigar-khane ke taqche mein khabar ki handi ubal rahi thi

falak ke kothe pe dekhta hun naya sitara chamak raha hai
zamin pe girne se qabl shayad shua qarnon se chal rahi thi

salam karti hui sahar ka kiwad chaupat khula hua tha
falak ka nilam chamak raha tha nadi mein chandi pighal rahi thi

safar ka safha khula to us par fana ka naqsha bana hua tha
hamara nashsha utar chuka tha hamari masti sanbhal rahi thi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close