kaam aata gham-e-nihan dil ka kash karte wo imtihan dil ka sharh-e-afsana-e-mohabbat hai chashm-e-tar hai meri bayan dil ka kah gai sab khamoshi-e-beja raaz rahta hai kab nihan dil ka is mein un ka bhi kuchh ishaara hai dushman-e-jaan hai aasman dil ka mujh ko dete hain kyon nawed-e-nashat aalam-e-gham na ho ayan dil ka tu hua jab se jaguzin dil mein zarra-zarra hai aasman dil ka kyon sarapa alam na ban jati dastan dil ki thi bayan dil ka kya dikhaen kise dikhaen hum zakhm aur zakhm-e-be-nishan dil ka be-khudi dil ki khinch lai kahan koi mahram nahin jahan dil ka sarzamin ishq ki wahin samjho qadam aa ke ruke jahan dil ka jis ne mara usi pe marta hai dushman-e-jaan hai jaan-e-jaan dil ka koi is tarah bhi mitata hai kuchh to chhodo kahin nishan dil ka gum hua apni wusaton mein khud lut gaya khud hi karwan dil ka jaan jati hai gar to jae 'junun' raaz aae na ta-zaban dil ka