kab ho saka hai dil ka mudawa tere baghair hoga tera mariz na achchha tere baghair sabr-o-qarar-e-ishq 'ibarat tujhi se hai baatil hai zabt-e-dard ka da'wa tere baghair is tarah ab jahan mein hun goya nahin hun main kaisi badal gai meri duniya tere baghair baalin par aa ki maut sukun se nasib ho jina to ab nahin hai gawara tere baghair har mauj-e-mai hai ek rag-e-khun-bar hijr mein kya honge aah saghar-o-mina tere baghair teri tajalliyon se hain sab ki tajalliyan jalwa nahin hai koi bhi jalwa tere baghair ye barq be-qarar hai daman-e-abr mein ya muztarib hai dil pas-e-parda tere baghair tu uth ke kya chala ki chali jaan jism se dushwar ho gaya mujhe jaisa tere baghair kya zikr-e-mehr-o-mah ki ai mehr-o-mah-e-husn chamka na aaj tak koi zarra tere baghair begana-e-hayat hai har lamha-e-firaq kis tarah ji sake koi tanha tere baghair tu dekhta hai dekh saka kab main ghair ko wa ho saki na chashm-e-tamasha tere baghair ai barq-e-husn dil ki faza par bhi ek jhalak tarik hai ye tur-e-tajalli tere baghair zarra bhi apne dasht se begana ho gaya baham juda hain qatra-o-dariya tere baghair jab tu nahin nazar mein to nazron ko kya karun kis kaam ka ye dida-e-bina tere baghair gar aaj teri qadr nahin ai 'junun' na ho roega apne haal pe farda tere baghair