kaam ab koi na aaega bas ek dil ke siwa raste band hain sab kucha-e-qatil ke siwa bais-e-rashk hai tanha-rawi-e-rah-raw-e-shauq ham-safar koi nahin duri-e-manzil ke siwa hum ne duniya ki har ek shai se uthaya dil ko lekin ek shokh ke hangama-e-mahfil ke siwa tegh munsif ho jahan dar-o-rasan hon shahid be-gunah kaun hai us shahr mein qatil ke siwa jaane kis rang se aai hai gulistan mein bahaar koi naghma hi nahin shor-e-salasil ke siwa