kaam agar hasb-e-muddaa na hua tera chaha hua bura na hua khak udti jo hum khuda hote bandagi ka bhi haq ada na hua sab jataya kiye niyaz-e-qadim wo kisi ka bhi aashna na hua rakhsh-e-ayyam ko qarar kahan idhar aaya udhar rawana hua kya khule jo kabhi na tha pinhan kyun mile jo kabhi juda na hua sakht fitna jahan mein uthta koi tujh sa tere siwa na hua jo gadha khu-e-bad ki daldal mein ja phansa phir kabhi riha na hua tu na ho ye to ho nahin sakta mera kya tha hua hua na hua rah-raw-e-maslak-e-tawkkul hai wo jo muhtaj ghair ka na hua